2014 Lyrics Naezy

Published: | Updated:
2014 Lyrics: The song is sung by Naezy, and has music by Karan Kanchan while Naved Shaikh has written the 2014 Lyrics.

2014 Lyrics

Kya bolreli hai public
Number 70 se khatarnak shot
Kon mere sath?
Karan kanchan on the beat
Naezy the baa boy!

2014 kiya main shuru
Waqt beete fast fast 6-7 saal
Mushqile thi saath saath
Vishwasghaat saanp mere aas paas

Path mera pathrila nokila bahut billa
Show killer moti ka seep mila
Daaku samundri main pirate

O.G. Tu pirated, main high rated
Modi to chai beche (chai beche)
Rap gaame pe lock mera
Rap karna job nahin rap karna shauk mera

Whack rappers bahut se yahan
Baap inka godzilla rehta kahan road pe
Mai rehta kaha log ke dil mein dimaag mein

Filmein demand pe tu netflix main black tix mein
Behtareen practice mein role mera 70 tu 35 mein
Flow mera hatkar hai kayi kisme
Daath tere gayab hai dentist main
Lab me partal karu scentist main

Antique romantic main dharti par mehnati,
Tu dharti pe bhoj geereli soch galat approach
Paka nahin phal maarelle choch
Cheen lere log looti patang

Ya toh fir gappa na teri na meri
Dono ka nuksaan pachtana bachkana
Rone ka game aadat ye purana
Tujhko main pehchana

Bhari main tujhpe toh maamuli nishana
Lagana usko hi pehnana,
Mujhko nahin sikhana batana, satana, patana
Meri nahin hatana
Hategi meri toh batega watana
Fategi teri aur jagega zamana

Score karu gandhi, lau andhi
Main toofaani yun, laana kranti
Roz karu warjish sitaare mere gardish mein
Urdu zubaan pe soch meri sanskrit mein arabic mein

Jeevan ki peheliyan rubiks cube
Girlfriend ki khairiat moody khoob
Scooby-doo hua tu bhi screwed
Khud hi tu jhoot bole doosre ki chhod

Khud ho durust pehle jaise main rehta line pe
Tu late main hun time pe
Hai demand mera, main command mein
Lu remand tera, teri jaan pe

Teri jaan lera mujhko pehchan be
Mujhko pehchan lera shanti mizaaj mein
Andaz ek misaal haina rishte tabah huye
Raaste shumaar haina..

Mera raasta yeh mera raasta wo
Tera saath jo de tera raasta wo
Baaki raaste se tum side hato
Mujhe jaane do mujhe aane do
Tasalli lo tasalli do
Mera haq hai jo mujhe paane do

Sach se sirf bhaagna koyi hal nahin hai
Rab jo nahin yaad kaara aisa pal nahin hai
India mein rapping ka kal yahin hai
Hip hop me elements 5 hai
Snapback ek taaj hai
Mcing, diking, bboying, grafitti
Knowledge ek art hai

Khud kare jo wo dusre mein baat te
Dukh baatein, sukh baatein nafrat pe muskraate
Kuch kaate chub jaate pehle bhaichara
Tum khud chaahte waqt aata bhool jaate

Written by:
Naved Shaikh

Lyricsmint FAQs & Trivia

Who wrote the lyrics of "2014" song?

Naved Shaikh has written the lyrics of "2014". Naved Shaikh is known for writing songs like 302, 2014, and Mehfooz.

Who is the singer of "2014" song?

Naezy has sung the song "2014". Naezy is known for singing songs like Mere Gully Mein, Let's Crack It, and Birju.