Chaandaniya

Chandaniya Lyrics from 2 States featuring Arjun Kapoor, Alia Bhatt: The song is sung by K. Mohan & Yashita Sharma, composed by Shankar-Ehsaan-Loy, while Lyrics of Chaandaniya are penned by Amitabh Bhattacharya.

Chaandaniya Lyrics

Tujh bin suraj mein aag nahi re
Tujh bin koyal mein raag nahi re
Chaandaniya to barse
Phir kyun mere haath andhere lagde ne

Haa tujh bin phaagun mein phaag nahi re
Haa tujh bin jaage bhi jaag nahi re
Tere bina.. o mahiya
Din dariya, rain jazeere lagde ne
Adhoori adhoori adhoori kahaani, adhoora alvida
Yunhi yunhi raina jaaye adhoore sadaa
Adhoori adhoori adhoori kahaani, adhoora alvida
Yunhi yunhi raina jaaye adhoore sadaa

O Chaandaniya to barse
Phir kyun mere haath andhere lagde ne
Kedi teri naraazgi
Gal sun le raaz ki
Jism ye kya hai, khokhli seepi
Rooh da moti hai tu
Garaz ho jitni teri
Badle mein jindadi meri
Mere saare bikhre suron se geet piroti hai tu
O mahiya.. tere sitam, tere karam
Dono lutere lagde ne

Tujh bin suraj mein aag nahi re
Tujh bin koyal mein raag nahi re
Chaandaniya to barse
Phir kyun mere haath andhere lagde ne

Adhoori adhoori adhoori kahaani, adhoora alvida
Yunhi yunhi raina jaaye adhoore sadaa
Adhoori adhoori adhoori kahaani, adhoora alvida
Yunhi yunhi raina jaaye adhoore sadaa

Na na na… na na na..
Phir kyun mere haath adhere lagde ne
Tere bina.. o mahiya
Din dariya, rain jazeere lagde ne

Written by:
Amitabh Bhattacharya

"Chaandaniya" Song Info

Singer K Mohan, Yashita Sharma
Album 2 States
Lyricist Amitabh Bhattacharya
Music Shankar-Ehsaan-Loy
Cast Arjun Kapoor, Alia Bhatt
Language Hindi