Mere Naam Tu Lyrics

Published: | Updated:
Mere Naam Tu Lyrics – ZERO: The song is sung by Abhay Jodhpurkar and composed by Ajay-Atul while Mere Naam Tu Lyrics are written by Irshad Kamil. The song is from Aanand L Rai’s ZERO starring Shahrukh Khan, Anushka Sharma and Katrina Kaif.

Mere Naam Tu Lyrics

Woh rang bhi kya rang hai
Milta na jo tere hoth ke rang se hubahu
Woh khushboo kya khushboo
Thehre na jo teri saanwari zulf ke rubaru

Tere aage ye duniya hai pheeki si
Mere bin tu na hogi kisi ki bhi
Ab ye zaahir sar-e-aam hai, elaan hai

Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu (x2)

Uljhan bhi hoon teri
Uljhan ka hal bhi hoon main
Thoda sa ziddi hoon
Thoda pagal bhi hoon main

Barkha bijli baadal jhoothe
Jhoothi phoolon ki saugatein
Sacchi tu hai saccha main hoon
Sacchi apne dil ki baatein

Dastkhat haathon se haathon pe kar de tu
Naa kar aankhon pe palkon ke parde tu
Kya ye itna bada kaam hai, elaan hai

Jab tak jahaan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahaan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu (x2)

Mere hi ghere mein ghoomegi har pal tu aise
Sooraj ke ghere me rehti hai dharti ye jaise
Paayegi tu khudko na mujhse judaa
Tu hai mera aadha sa hissa sadaa

Tukde kar chaahe khaabon ke tu mere
Tootenge bhi toh rehne hain woh tere
Tujhko bhi toh ye ilhaam hai
Elaan hai…

Written by:
Irshad Kamil

Lyricsmint FAQs & Trivia

What movie the "Mere Naam Tu" song is from?

The song "Mere Naam Tu" is from the soundtrack album "ZERO".

Who wrote the lyrics of "Mere Naam Tu" song?

Irshad Kamil written the lyrics of "Mere Naam Tu". Irshad Kamil is known for writing songs like Hum Mar Jayenge, Milne Hai Mujhse Aayi, and Shayad.

Who is the singer of "Mere Naam Tu" song?

Abhay Jodhpurkar has sung the song "Mere Naam Tu". Abhay Jodhpurkar is known for singing songs like Mere Naam Tu, Sapna Hai Sach Hai, and Guzar Jayega.

Who directed ZERO?

Aanand L Rai has directed the film ZERO.